Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024 Booking 2024: Ayodhya Ram Mandir ka intezaar ab khatam ho chuka hai, kyunki mandir ka nirman poora ho gaya hai aur log ab wahan darshan ke liye ja sakte hain. Agar aap bhi Bhagwan Shri Ram ke darshan aur aarti mein shamil hona chahte hain, to ab aap ghar baithe hi Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024 online kar sakte hain. Booking ki prakriya shuru ho chuki hai, isliye der na karein aur apni booking jaldi se karwa lein.
Table of Contents
Aaj ke is article mein hum aapko Ram Mandir ke darshan aur aarti ke liye online ticket book karne ke baare me batayege. Neeche diye hue steps ko follow karke aap aasani se Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024 ki jankari le kar sakte hain. Poora process samajhne ke liye is article ko aakhir tak zaroor padhein.
Is article mein hum aapko Ayodhya Ram Mandir Darshan Booking 2024 karne ki poori process samjhaenge. Saath hi, aap yeh bhi jaanenge ki darshan ya aarti ke liye ticket book karte waqt aapko kaunse documents chahiye honge. Neeche di gayi jankari ko dhyaan se padhein aur zaroori documents ko pehle se tayar rakhein, taaki Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024 ke dauran aapko kisi bhi tarah ki mushkil ka samna na karna pade.
Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024
Article ka Naam | Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024 |
Mandir ka Naam | Ayodhya Ram Mandir |
Booking ka Madhyam | Online |
Ayodhya Ram Mandir Darshan Fee | Free |
Ayodhya Ram Mandir Aarti ka Time | Jagaran / Shringar – 6:30 AMSandhya Aarti – 7:30 PM |
Toll Free Number | 1800 180 1992 |
Official Website | Click Here |
Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024 important guidelines
Agar aap Bhagwan Shri Ram ke darshan aur aarti ke liye Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024 ka process samajhna chahte hain, to neeche diye gaye steps ki madad se aap aasani se ticket book kar sakte hain. Lekin, booking se pehle in zaroori guidelines ko zaroor dhyaan mein rakhein:
- Bachon ke Liye: 10 saal se chhote bachon ke liye ticket ki zaroorat nahi hoti.
- ID Proof: Ticket book karte waqt aapko ek valid ID proof dikhana padega.
- Booking Confirmation: Ticket book karne ke baad aur darshan ke 24 ghante pehle aapko SMS ke through confirmation mil jayega.
- Cancellation: Agar aapka plan badal jaye, to aap 24 ghante pehle ticket cancel kar sakte hain.
- Dress Code: Darshan ke liye traditional kapde pehnna zaroori hai – purushon ke liye dhoti, kurta, aur pajama; aur mahilaon ke liye sari ya Punjabi suit-salwar aur dupatta.
In guidelines ko dhyaan se padhkar aapko booking aur darshan mein koi bhi pareshani nahi hogi.
Ayodhya Ram Mandir Darshan Aarti Booking 2024 karne ka process
Aap ghar baithe Ayodhya Ram Mandir darshan ke liye ticket book kar sakte hain: niche diya hua process follow kare`
- Website Visit: Sabse pehle, aapko mandir ki official website par jana hai.
- Home Page: Official website par aane ke baad, home page par “Click To Contribute” option milega, uspe click karein.
- Darshan Option: Uske baad “Darshan” option par click karein.
- Mobile Number: Apna 10-digit mobile number enter karein aur “Get OTP” par click karein.
- OTP Verification: Aapke mobile par ek OTP aayega, use enter karke “Login” par click karein.
- Registration Form: Login karne ke baad, ek registration form khul jayega.
- Form Details: Registration form mein zaroori information fill karein aur apne mobile phone ki gallery se ek photo upload karein.
- Proceed: Saari details bharne ke baad, “Proceed” option par click karein.
- Booking Confirmation: Aapka ticket successfully book ho jayega.
- Print Ticket: Apna ticket online print karna hoga. Iske liye neeche diye gaye steps follow karein.
Yeh simple steps follow karke aap apna darshan ticket asaani se book kar sakte hain.
Ticket Print Karne Kya Kare
Ayodhya Ram Mandir ke liye ticket book karne ke baad print ya PDF download karne ke liye yeh steps follow karein:
- Login: Sabse pehle, portal mein login karein.
- Transaction History: Login karne ke baad, “Transaction History” option par click karein.
- Mobile Number: Us mobile number ko enter karein jis se aapne ticket book kiya tha.
- Get OTP: Registered mobile number enter karne ke baad, “Get OTP” option par click karein.
- OTP Verification: Aapke mobile par ek OTP aayega, use enter karke “Login” option par click karein.
- Transaction History View: Iske baad, aapka transaction history khul jayega.
- Download Ticket: Yahan se aap apna ticket dekh sakte hain aur use print ya PDF format mein download kar sakte hain.
In steps ko follow karke aap apna ticket asaani se print ya download kar sakte hain.