Punjab old age Pension Scheme 2024 : Punjab sarkar dwara rajya ke vridh nagrikon ke liye Punjab Vriddha Pension Yojana ki shuruaat ki gayi hai. Is yojana ke tahat 58 varsh se adhik mahilayon ko aur 65 varsh se adhik purushon ko ₹1500 ki pratimaah maasik pension di jati hai. Yeh scheme vridhjanon ke liye bahut hi labhdayak yojana hai. Is yojana ke zariye vridhjanon ko aarthik majbooti pradan ki jayegi. Yadi aap bhi Punjab rajya ke nivaasi hain aur aap bhi is yojana ka labh uthana chahte hain to aapko is yojana mein aavedan karna hoga.
Punjab Vriddha Pension Yojana ka labh Punjab rajya ke vriddh nagrikon ko pradan kiya jayega. Yadi aap is yojana mein avedan karna chahte hain to hum aapki jankari ke liye bata dein ki is yojana ka labh uthane ke liye vriddh nagrikon ko kuch patrataon ko poora karna hota hai. Jinki poori jankari humne is article mein pradan ki hai. Iske alawa is yojana mein avedan karne ke liye aapko kuch aavashyak dastavezon ki bhi avashyakta padegi jo ki humne is article mein bataye hain, isliye is article ko ant tak avashya padhein.
Punjab old age Pension Scheme
Punjab sarkar dwara rajya ke buzurg mahila evam purushon ko budhape ke dauran arthik sahayata pradan karne hetu Punjab Vridha Pension Yojana ki shuruaat ki gayi hai. Is yojana ka labh 58 varsh se adhik mahilaon aur 65 varsh se adhik purushon ko pradan kiya jata hai. Is yojana ke tahat unhe ₹1500 ki maasik pension pradan ki jati hai. Is yojana se milne wali arthik pension ki madad se vridhjan apni rozmarra ki zarurat ko poora kar sakte hain aur apna jeevan yapan achhi tarike se kar sakte hain.
Vridh nagrikon ko apne chhote-mote kharche ke liye kisi doosre ke upar nirbhar na rehna pade iske liye Punjab sarkar ne Punjab Vridha Pension Yojana ki shuruaat ki hai. Yadi aap Punjab Vridhavastha Pension Yojana ka labh prapt karna chahte hain to aapko is yojana mein online ya offline madhyam se aavedan karna hoga. Aaj ke is article mein humne yojana se sambandhit poori jankari di hai aur Punjab Vridha Pension Yojana mein online aavedan karne ki poori prakriya bhi batayi hai, isliye is article ko ant tak avashya padhein.
Punjab Old Age Pension Scheme ke liye Eligibility
Agar aap Punjab Vridh Pension Yojana ka fayda uthana chahte hain, toh is yojana mein apply karne ke liye aapko niche diye gaye eligibility criteria ko pura karna hoga
- Punjab Vridha Pension Yojana ka faida uthane ke liye applicant ko Punjab raj ka mool niwasi hona chahiye.
- Yeh yojana rajya ke sabhi vridh nagrikon ko faida deti hai.
- Agar aap aurat hain, to aapki umar 58 saal se zyada honi chahiye.
- Agar aap mard hain, to aapki umar 65 saal se zyada honi chahiye.
- Applicant ke paas zyada se zyada 2 acre sinchit zameen ya 5 acre purani zameen honi chahiye.
- Applicant ke parivar ki varshik aay ₹60,000 se zyada nahi honi chahiye.
Punjab old age Pension Scheme Yojana ke liye zaroori documents
- List
- Aadhaar Card
- Address Proof (Jaise ki Electricity Bill, Ration Card)
- Age Proof (Jaise ki Birth Certificate ya Pension Payment Order)
- Bank Account Details
- Passport Size Photographs
- contact no
Ye documents aapko application ke saath submit karne honge.
Punjab old age Pension Scheme mein online aavedan kaise karein?
- Punjab old age Pension Scheme mein aavedan karne ke liye sabse pehle iski official website par jaayein.
- “Menu” section mein “Forms” ke option par click karein.
- Naye page par “Application form under old age pension scheme” ke PDF link par click karein.
- PDF file download hone ke baad is form ka A4 size paper par print out nikal lein.
- Application form ko dhyan se bharain.
- Zaroori documents ikattha karein.
- Application form aur documents ko anganwadi kendra / SDM office / district social security officer / bal vikas project officer ke office mein submit karein.
- Application form ki jaanch ki jayegi.
- Agar form sahi paaya gaya, to aapko yojana ka labh milna shuru ho jayega.