Rajasthan ke laakho berozgar yuvaon ke liye ek badi khushi ki baat hai. Rajasthan Shiksha Vibhag duara naye REET Bharti 2024 ke liye 30,000 posts par notification jari kiye gaye hai. Iss article mein aapko Rajasthan REET Bharti 2024 se judi sabhi zaroori jankariyon ke baare mein jankari milegi.
Table of Contents
Rajasthan mein nai REET bharti
Har saal lakhon yuva Rajasthan REET bharti ke intezar mein rehte hain. Yeh exam un candidates ke liye important hai jo teacher banna chahte hain. Rajasthan Third Grade Teacher Recruitment ke tehat lagbhag 30,000 vacant posts ke liye applications bulayi jayengi. Yeh bharti Rajasthan Education Department ke under ki jayegi, jismein REET Level 1st aur REET Level 2nd ke posts shamil honge.
REET recruitment ke liye kaun-kaun se posts vacant hain?
Recently, Rajasthan government ne education department mein vacant positions ki list release ki hai. Is list mein 29,272 third grade teacher ke posts hain. Isme Reet Level 1st ke liye 12,000 posts aur Reet Level 2nd ke liye 18,000 posts diye gaye hain.
naye naukri ke mauke
Rajasthan mein naye REET bharti se berozgar yuvaon ke liye naye job opportunities khulenge. Jo candidates teacher banna chahte hain, unka sapna pura ho sakta hai aur state mein education quality ko aur improve kiya ja sakta hai.
REET 2024 KE Exam Ke liye kya kare?
Agar aap third grade teacher banna chahte hain, toh aapko REET exam 2024 pass karni hogi. REET Level 1 ke liye 12,000 positions aur REET Level 2 ke liye 18,000 positions par applications open hongi.
REET 2024 ki bharti ki important dates aur application process kiya hai
Neeche REET 2024 bharti se judi important dates aur details di gyi hai.
components | Description |
Bharti Sangthan | Rajasthan Education Department |
Post Name | Third-grade teacher |
Number of vacancies | 30,000 |
Application ka tareeka | Online |
Application shuru karne ki date | Jald hi |
Salary | 27,600 /- |
REET ka Full Form | Rajasthan Eligibility Examination for Teachers |
Eligibility criteria kya hain
REET exam ke liye ye eligibility criteria is tarha hain:
Educational Qualification: REET Level 1st ke liye, candidates ko minimum 50% marks ke saath 12th pass hona zaroori hai aur saath hi BSTC ya D.El.Ed course complete hona chahiye. REET Level 2nd ke liye, graduation mein 50% marks aur B.Ed pass hona mandatory hai.
Age Limit: REET exam ke liye koi specific age limit nahi hai.
REET Bharti 2024 ke liye apply kaise karein
Reet Bharti 2024 ke liye application process fully online hoga. Interested candidates Rajasthan SSO portal par jakar form bhar sakte hain. Apply karne ke liye yeh steps follow karein:
- SSO portal par jaayein: Sabse pehle, Rajasthan SSO portal par apni SSO ID aur password se login karein.
- Requirement portal par jaayein: Portal ke home page par “Recruitment Portal” button par click karein.
- Form bharein: Active bhartiyon ki list mein “Rajasthan Reet Recruitment 2024” ke liye “Apply Now” option par click karein aur apni personal aur educational details bhar dein.
- Documents upload karein: Saare zaroori documents upload karein aur next page par chalein.
- Form fee ka payment karein: Reet Level First aur Reet Level Second ke liye application fee online payment se bharain.
- Form submit karein: Sabhi details check karne ke baad “Submit & Save” par click karein aur form submit kar dein.
REET 2024 KE Exam ka Syllabus and Exam Pattern
REET exam ke liye syllabus aur exam pattern ki information jaldi hi publish hogi. Candidates ko REET exam 2024 ke syllabus ko dhyaan me rakhte hue apni preparation shuru karna hogi.
REET Level 1st aur 2nd dono ke liye apply kar sate hai .Application fee 750 rupaye hai.
REET exam mein safalta paane ke liye kuch tips
REET exam mein safalta paane ke liye candidates ko syllabus ka poora study karna chahiye. Saath hi, previous years ke question papers ka bhi practice karna zaroori hai.
REET certificate ki validity
REET certificate ki validity ab lifelong kar di gayi hai, matlab candidates is certificate ka kitni baar bhi use kar sakte hain.
REET Bharti 2024 ke liye conclusion
Rajasthan REET Bharti 2024 hazaron berozgar yuvaon ke liye ek golden opportunity hai. Agar aap teacher banna chahte hain, toh is mauke ko mat chhodiye. Recruitment ki information aur application process ki tayari ab se shuru kar dijiye, taaki aap exam mein safal ho sakेe.
Adhik jankari ke liye: Rajasthan REET Bharti 2024 se related sabhi updates ke liye Rajasthan Education Department ki official website par check kare
REET Bharti 2024 FAQ
Question : Rajasthan REET Bharti 2024 kab niklegi?
Ans: Rajasthan Subordinate Staff Selection Board jald hi lagbhag 30,000 posts par bharti notification jaari karega.
Question: REET exam ke liye kaun eligible hai?
Ans: REET Level 1st ke liye 12th aur BSTC ya D.El.Ed pass candidates apply kar sakte hain, jabki REET Level 2nd ke liye graduation aur B.Ed pass hona zaroori hai..